Tuesday 9 May 2017

Maharana Pratap Jayanti #Tribute




Veeron ke veer the
Bhilon ke mitr
Apni maati ke putr the
jiska kabhi na jhuka tha sar
Afghano se lekar Mughalon tak ko
Haraaya ladaai mein
Dikhaaya apna tezz
Dilaa mukti apni maati ko
Woh sarv pratham swatantra senani the

Karte sabka samaan
Kiya na kabhi bhi bhed bhaav
Khud ke parivaar ne kiya vishwasghaat
Par unhone na maani haar
The woh shurveer Maharana Pratap
Jiski jay jaykaar karta aaj bhi sansaar

Aaj hai unka janmdivas
Maangte hain maafi aaj
Ki bhool gaye tumhaare balidaano ko
Na kiya tumhaara humne samaan
Ab jaante hain hum tumhaari kahaani
Jaiwanta ke putr 
Tumne hi toh swatnatr hone ki lau thi jalaai
Jab sab ne dedi betiyaan
jhukaaya apna sar
Tumne seena chauda rakh
Kara yudh pe yudh
Chodhe saare aish-o-araam
Maati ke putr tujhe shat shat pranaam

Ajabde sangini tumhaari
Amar se roshan tumhaari kahaani
Mewar ki dharti karti tujhe yaad
Maharaano ke Maharana tum
Tum ho Veer Pratap

Chitto jab samaaya jauhar ki agni mein
Saathiyon ne kara saka
Tabhi khaai thi kasam ki
Mukht karaaoge apna kila

Haldighati mein dikhaaya Mughalon ko
Ki tumhaari ragon mein lahu nahi
balki bheti thi angaar

Chetak ne diya tha balidaan
Bachaaye tumhaare praan
Aaya bhai Shakti
Jisne diya tumhaara saath
Khoya bahut tumne apne jeevan mein
Phir bhi na maani haar
Ladte rahe dat ke
Anth mein waapis chala gaya Mughal Samrat
Chodha swapn usne Mewar ko prapt karne ka
Hey veer putra tumne apna vacchan poorn kara

Aaj bhale hi sab na jaane
Jaanu main tumhaari kahaani
Hai aaj janmdivas tumhaara
Deti hoon ek vacchan
Na jhukega mera sar kabhi
Na maanu main haar
Ladu anth tak apne samaan ke liye
Chaahe saamne kyun na khada ho sansaar
Adarsh tum Mitr tum
Maati ke Veer Putr tum
Ho tum Maharana Pratap

Aaj hai janmdivas tumhaara
Tumko shat shat pranaam

 

12 comments:

  1. Tears. Goosebumps. Tears. ❤

    ReplyDelete
  2. Wah this is very meaningful and worth a tribute

    ReplyDelete
  3. THIS IS AWESOME ...JUST AWESOME....GOT GOOSEBUMPS......

    ReplyDelete
  4. Speechless❤❤❤❤❤❤❤❤❤

    ReplyDelete
  5. This is awesome 😍😍😍😍😍 speechless😊

    -Shruti.

    ReplyDelete
  6. Well well, this is me right now, very well written makes me proud of being an Indian, being born in the country of such mahan purush and sthree. God Bless πŸ™πŸ™πŸ˜’πŸ˜’πŸ˜πŸ˜πŸ‘πŸ‘πŸ˜πŸ˜

    ReplyDelete
  7. By: Smit Patel πŸ˜…πŸ˜…πŸ˜‰πŸ˜‰

    ReplyDelete